Stress free Tips Hindi मानसिक तनाव से मुक्ति कैसे मिले

Stress Free Tips Hindi मानसिक तनाव से मुक्ति कैसे हासिल करे

Aaj ke iis aadhunik dour mai  hum jis tarah ki jindagi jite hai, vo bahot hi mushkil or stress full hai . Aaj kal har jagah etna competition hai ki roj-marra ki jarurate puri karne k liye hame har din or bhi ziyadah koshish karni padti hai, Es wajah se bahot se log stress k shikaar ban jate hain Stress free Tips

Also read : Danger for children | बच्चों को चिड़चिड़ा और गुस्सैल बना रहा

Stress kya hai,  Stress free Tips Hindi yeh janna bahot jaruri hai,  stress jab hum kisi chij k baare mai soch-soch k bahot preshan ho jate hai tab hamare sharir me Blood Circulation, Heart Beat , Blood Pressure aur Adrenaline ka sanchar badh jata hai, jis k karan hume Stress ki anubhuti hoti hai or agar इसको control nahi kiya gaya to ye aapko maansik toor se bimar kar sakta hai.

Stress Ke kaaran : मानसिक तनाव क्यूँ होता है

Vaise to stress k bahot se kaaran ho sakte hai aaiye dekhte hai unme se kuch imported

  1. Srtess ka sabse bada reason hai hamari bhavnaoo ko thess pahuchna.
  2. Inter-wive ka tension.
  3. Exam tension.
  4. Medical related tension.
  5. Job tension.
  6. Zyada sochne ki vajah se tesion.
  7. Family related tension.
  8. Din-charya thik na hone k karan.
  9. Jab hamari Echhayen puri na ho to.
  10. Gharelu tension.
  11. Paise kamane ka टेंशन. Etc.

Also read : अब दुनिया में कोई नहीं कर सकेगा आयुर्वेद की चोरी

Stress Ke Lakshan : Stress free Tips Hindi

  • Kisi bhi kaam me mann na lagna.
  • Har waqt udaas rahana.
  • Self confidence kho dena.
  • Chah k bhi relaxation nahi milpata.
  • Apne aap pe control na kar pana.
  • Choti si baat pe bhi gussa ho jana.
  • Sahi faisla nahi le pate hai.
  • Sir dard Kamar dard be chaini चीड़ चीड़ hona Etc.

Stress Se Bachne K Upay : तनाव मुक्ति के उपाय

1. Self Motivation :

Dosto Stress free Tips Hindi samasyaoo ka hal na milne se hota hai, jo hamari mansikta par bura prabhav dalta hai. Aise samay me hume samasya k baare me na sochte hue apne mind ko rest de or khud ko confident se bhare, sochiye ki ye to ek choti si pareshani hai me esse haar nahi maan sakta . Or thandhe dimag se faisala le, to aap ko apni samasya ka hal mil jayega or aap stress se bach jayenge, esiliye dosto self motivation bahoot jaruri hota hai.

2.Sangeet Sune : अपनी पसंद के संगीत सुने

Dosto mujhe or aap ko bhi ye ache se pata hai ki jab hum apne pasandida gaane ya संगीत sunte hai to hame stress se mukti milti hai. Darasal hota yah hai ki sangeet sunne se hamara maan shant ho jata hai or hamara dhayan pareshaniyo se hat jata hai, hum relax mahesus karte hai .

Also read : बवासीर क्या है | बहुत आसान है उपचार | Piles in hindi

3.Meditation : ध्यान कैसे करें या ध्या‍न से तनावमुक्त कैसे करें

Dosto meditation k bare me bhi aap bahoot ache se jante hai, meditation k fayde or sirf fayde hi hote hai koi nuksan nahi hota , kyu ki ye aap k dimaag  ko asimit sthirta pradan karta hai, agar aap rooj subah thodi der bhi meditation karte hai to aap dimagi toor se sthir rahenge or Stress se koso dur. Stress free Tips Hindi post aapko yahi karne ke bare mein suggest karti hai

4.Play With Childrens : बच्चों के साथ खेल कर

Dosto do-pal ki khushi bhi hame mushkilo se ladne ka hosla de jaati hai. Agar aap ko lagta hai ki aap stress me ho kyu ki aap ki pareshaniyo ka aant nahi aap dudas /maaus ho to mera sujhav hai ki aap bacho k sath khele ya unko khalte dekhe agar bache na ho aap k aas pass to apne pet (paltu janwar) ke sath khele. kyu ki chote bachoon  ki hansi or unki nadaniya aap k chehre pe muskan layegi, aise samay aap ka dhyan pereshani se hat jayega or aap tanav mukt mahesus karenge. Aur fir aap ko ek positive energy mil jayegi apni pareshani se ladne ki .

5.Yoga : एक्सरसाइज कर के तनाव से मुक्ति

Dosto agar aap rooj yoga karte hai to aap ka man or tan dono hi healthy rahega, pareshaniyo se ladne ki takat milegi or aap sadev stress free rahenge. dosto aapne to vo muhavra suna hi hoga “Healthy mind lies in a healthy body”, mattlab ek acha dimag ek ache sharir mai rahata hai. Aur agar aap ka tan-man svasth hai to aap k pass sari samasyaoo se ladne ki shamta hoti hai.

Also read : Glowing Skin Tips | बेदाग निखार, त्वचा के दाग-धब्बे हटाने के लिए अपनाएं ये तरीके

Final Words :

Hay All Readers Stress Free Tips Hindi Rahene k liye 5 behtarin Tips jo maine aap ko bataye hai aasha hai ki aap unpar amal karenge, or ek sukhi or stress free jindagi ji payenge. Dosto agar aap ko meri ye post achi lage to jarur share kijiyega thanks For visit here

Also read : क्रोध को नियंत्रित करने के ज़बरदस्त और आसान सुझाव

अस्वीकरण: सलाह सहित यह सामग्री केवल सामान्य जानकारी प्रदान करती है, यह किसी भी तरह से योग्य चिकित्सा राय का विकल्प नहीं है, अधिक जानकारी के लिए हमेशा किसी विशेषज्ञ या अपने चिकित्सक से ज़रूर परामर्श करें, डी.एन.एस.आयुर्वेदा इस जानकारी के लिए ज़िम्मेदारी का दावा नहीं करता है.

Facebook page: Click here

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

WhatsApp WhatsApp us